ai jazbaa-e-dil gar maiN chaahuuN, har chiiz muqaabil aa jaaye

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (5 votes, average: 4.6 out of 5)
Loading ... Loading ...
1,659 Views

ai jazbaa-e-dil gar mai.n chaahuu.N har chiiz muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chaluuN aur saamne manzil aa jaaye

kashtii ko Khuda per chhoR bhi de, kashtii ka Khudaa Khuda haafiz hai
mushkil to nahiiN in maujoN meiN bahtaa huvaa saahil aa jaaye

ai dil kii lagii chal yuN hii sahii, chalataa to huN unkii mahfil meiN
us vaqt mujhe chauNkaa denaa jab rang pe mahfil aa jaaye

ai raaHbar-e-kaamil chalane ko tayyaar to huN par yaad rahe
us vaqt mujhe bhaTkaa denaa jab saamne manzil aa jaaye

haaN yaad mujhe tum kar lenaa aavaaz mujhe tum de lenaa
is raah-e-muhabbat meiN ko’ii darpaish jo mushkil aa jaaye

ab kyuN DhuuNDhuuN vo chashm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam
maiN chaaHtaa huN ai jazbaa-e-Gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye

is jazba-e-dil ke baare meiN ek mashvaraa tum se letaa huN
us vaqt mujhe kyaa laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaye

ai barq-e-tajallii kyaa tuune mujhko bhii Muusaa samjhaa hai
maiN tuur nahiiN jo jal jaauuN jo chaahe muqaabil aa jaaye

Behzad Lucknawi

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye
  • dil giraftaa hii sahii bazm sajaa lii jaaye
  • aasmaaN tak jo naalaa pahuuNchaa hai
  • ek khwaab aur
  • dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
  • 5 Responses to “ai jazbaa-e-dil gar maiN chaahuuN, har chiiz muqaabil aa jaaye”

    1. Jeess Ahad may lut jayee ghreeboon kee kamyee
      uss ahad kay sultan say koyee bhool hoyee hay

    2. kuch ghazal asi hoti hain jab nazar say guzrain bay ekhtair parnay ko dil karta hai aur mandarjabala ghazal un main say ek hai

    3. indee a very beautifiul ghazal!!!the flow is smooth and rhyming seems natural and un-forced.

    4. kitni baar bhi padho ,har baar nayi sii lagti hai

    5. Urdu Poetry blog has this ghazal transliterated in Devanagari.

    Leave a Reply