chhuri jinke haathoN se khaana paRe hai
925 Viewschhuri jinke haathoN se khaanaa paRe hai
Ghazal bhi unhiiN ko sunaanaa paRe hai
tabiiyat ko qaabuu meN laanaa paRe hai
uThThe hai kahaaN Gham, uThaanaa paRe hai
kuch aasaaN nahiiN mansab-e-surKh-ru’ii
ka’ii baar maqtal meN jaanaa paRe hai
(mansab-e-surKh-ru’ii : position of honour; maqtal : gallows)
na aa dardmandoN ki mehfil meN pyaare
yahaaN umr bhar dil jalaanaa paRe hai
Kaleem Ajiz
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(2 votes, average: 4.5 out of 5)






kuch aasaaN nahiiN mansab-e-surKh.ruii
ka’ii baat maqtal meiN jaanaa paRe hai
A minor correction
” ka’ii baar maqtal meiN janaa paRe hai”
Afzal bhai,
I am sorry but I can’t see the correction.
Mohib
Dear Mohib,
its kaii baar not kaii baat.
Afzal