phuul per jab kiran thhar-tharaii

1 comment

phuul per jab kiran thhar-tharaaii
wo nashiilii nazar yaad aaii

unki aamad ka paiGham sun kar
baRh gayaa aur dard-e-judaaii

ham kahaaN aur bazm-e-jaanaaN
unke jalvoN ne kee rahnumaaii

ek nigaaH-e-karam ki badaulat
bazm-e-dil der tak jagmagaaii

husn thaa iltifaat-e-mujassam
umr hi kar gayii be-wafaaii

raat bhar khuuN ?? sitaare
tab suhaanii sahar muskuraaii

gul-ba-daaman haiN haNsiin jalve
Wajd kar le nazar aazmaaii

Sikander Ali Wajd

Leave a Comment

Previous post:

Next post: