aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (7 votes, average: 4.57 out of 5)
Loading ... Loading ...
3,385 Views

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !

kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa

jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa

qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa

ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
“Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • aaiinaa ban ke baat kartii dhuup
  • hasiin kitnaa ziyaadaa ho gayaa hai
  • vafaa kii daastaaN chheRii kabhii tumne, kabhii hamne
  • tanhaa’ii kii galii meN havaaoN kaa shor thaa
  • kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
  • 13 Responses to “aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa”

    1. naureen samina on March 30th, 2006 at 9:05 pm

      I loved it so much. So simple and detailed.

    2. very good

    3. mirza irfan rsaheed on April 22nd, 2006 at 12:26 am

      its a nice poetry as b4

    4. Dr.Pasha "the KING" Ahmer Rabbani on May 6th, 2006 at 6:00 pm

      the depth tell you everything

    5. The person who has lost everything on the name of beloved, he would understand very well

    6. masha allah good ghazal

    7. humm a very very beautiful ghazal the poet has expressed his inner feelings through this Ghazal very beautifully..wat i say i simply luv dat….

    8. very nice poem .main ne aik poem in k liya likhi hai aur main unhain send karna chahti hoon mujay un ka contact number chyahiya please de dain thanks

    9. awesome poetry, i must say he is gr8 n the wording is simple with full depth n feelings.

    10. yun to har kuchh badal jata hai magar dard nahi badlata kabhi.

    11. it’s very nice.
      lafz nahi hai tareef karne ke liye.

    12. O yaar kaya baat hai… Its nice. Its nice. Its nice.
      Brilliant. Shandaar….. Likh k GEO Amjad g.

    13. brilliant ghazal. nice as ever

    Leave a Reply