dil ko Khyaal-e-yaar ne maKhmuur kar diyaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (2 votes, average: 4.5 out of 5)
Loading ... Loading ...
1,059 Views

dil ko Khyaal-e-yaar ne maKhmuur kar diyaa
saagar ko rang-e-baadaa ne purnuur kar diyaa

maayuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuune yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa

gustaaKh-dastioN kaa na thaa mujh meN hausilaa
lekin hujuum-e-shauq ne majbuur kar diyaa

kuch aisii ho gayii hai tere Gham kii mubtilaa
goyaa kisii ne jaan ko mashuur kar diyaa

betaabioN se chhup na sakaa maajraa-e-dil
aaKhir huzuur-e-yaar bhii mazkuur kar diyaa

ahl-e-nazar ko bhii nazar aaya na ruu-e-yaar
yaaN tak hijaab-e-yaar ne mastuur kar diyaa

“Hasrat” bahut hai martabaa aashiquii buland
tujh ko to muft logoN ne mash’huur kar diyaa

Hasrat Mohani

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa
  • aisaa nahiiN ke unse muhabbat nahiiN rahii
  • kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai
  • fikr-e-taameer-e-aashiaN bhi hai
  • raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
  • Leave a Reply