maiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai
Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai
maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai
meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai
vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai
Bashir Badr
{ 19 comments… read them below or add one }
good
nice
awesome
bashir badar ki baat hi kuchh aur hai woh aam admi ke tarjuman hain. itne sales alfaz me itni khubsyrat baten karna yeh unka hi fan hai.
mujhe unka yeh sher bahut pasand hai…
Ujale apni yadon ke hamare sath rahne do;
Najane kis gali me zindagi ki sham hojaye.
unjaisa shair daur-hazir me bahut hi kam hai,
bashir sahab ko meri taraf se salam ..mai unka bahut hi bara madah hoo.aur bara hi shauq hai unse milu aur apni ashar ki islah hun agar koi tariqua hai to mujhe batain mamnun rahunga..mera mail add……………
mtarique_raza@yahoo.com
Bahut Khoobsurat hain gazlen tumhari,
bana dijiye inko zindagi humari.
WAH SAHAB…ACHHA BAHUT HAI !!!!!
very very good
wah janab wahhhh——
Hazaar shayaron mein hai ek Bashir Badr Jisa Shaayar
Khayaal mushkil hai par Umdaa bahut hai
Hum to chaahein ke woh aur likkhe aur hum aur sunein
Woh sunaata kum hai par likhtaa bahut hai
Bashir badr ke
baare mein kya
kahun yaro,
Wo ek bahre-
sukhan hai
ghazal ka
maahir. hai
muhbbt b raas na aii kiya krty thi qismat me tanhai kiya krty socha tha de ga umer bhar sath jo di usi ne judai kiya krty hua jo rukhsat to hum ne mor li ankhien tere bad hum ye binai kiya krty jb wo ik shaks he humaien na mila le kar hum sari khudai kiya krty
wah wah kia khubsurat istamal hay radeef kafiay ka
bashir badar sb ko main nain buhat kam parah hay
gazal parh k ruh taza ho gai
khuda ki itni badi kaynat mein maine,,,bas aik shakhs ko manga mujhe wahi na mila…….
simply best…..bhut asaani se apni baat keh gaye hein janab…
bashir badr ki shairi mein kuch ajeeb aur khush gawar umdgi hai , yehi wajay hai keh her baar parhny mein pehly sy ziada achi lagti hai.
Koi agar chahe ke usko rooh taza ho jaye to wo Janab Bashir Badra Sahab ka kalam padh le. Unka kalam ankhon ke raste dil mein utar jayega.
dil ko chhu gayi
Lajawab shari karte hain Bashir Badra Saheb, unka hi ek sher arz hai
“Koi Phool Dhop ki Pattiyon mein Hare Ribn se Bandha Hua
Woh Ghazal ka Lehja Naya Naya Na Kaha hua Na Suna Hua
Jisse le gayee hai abhi Hawa woh Waraq the Dil ki Kitab ka
Kahin Aasuon se mita hua Kahin Aansuon se Likha hua”
Allah Unhen Lambi Umar De…AMIN
“vo ab laakhon dilon se khelta hai,
mujhe pehchaan le itna bahut hai,”
waaaaaaah badr sahab ……….waaaaaaaaaah