ek pal meN ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
4,399 Viewsek pal meN ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye
bhuule haiN raftaa raftaa unheN mudattoN meN ham
qistoN meN Khud-kushii kaa mazaa ham se puuchhiye
aaGhaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye
jalte diyoN meN jalte gharoN jaise zau kahaaN
sarkaar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye
vo jaan hii gaye ke hameN un se pyaar hai
aaNkhoN kii muKhbarii kaa mazaa ham se puuchhiye
haNsne kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah
haNsiye magar haNsii kaa mazaa ham se puuchhiye
ham taubaa kar ke mar gaye qabl-e-azal “Khumar”
tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar Barabankvi
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(5 votes, average: 4 out of 5)






Bahut Khoob Mohib bhai aapne to khumar sb ko wapas la diya
…
bhuule haiN raftaa raftaa unheN mudattoN meN ham
qistoN meN Khud-kushii kaa mazaa ham se puuchhiye
bahut khoob
Mohib sahib,
Adaab arz hei.
Khumaar sahib ki ye ghazal aek nahi kai baar parhi lekin aaj unki awaaz mein aur unhe dekhte hue suni tou is ghazal ka maza dobala hogaya, shayar ka kalaam shayar ki zabaan se suno tou har shair kai guna khoobsurat hojata hai.
aapka tahedil se shukriya jo humein is qabil samjhe aur aur sunne ki dawat diye.
Urdu mien shayari ka maza humse poochiye
“ek pal mein ek sadi ka maza humse poochiye”
Sara Jabeen
Thanks for gr8 post mohib.keep it up
[...] http://aligarians.com/2006/02/ek-pal-men-ek-sadii-kaa-mazaa-ham-se-puuchhiye/ [...]
Salaam Mohib bhai,
zabardast collection hai.. bahut khoob… keep posting such ghazals.
Syed Makhmoor
bhuule haiN raftaa raftaa unheN mudattoN meN ham
qistoN meN Khud-kushii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar shab ka jawab nahi Allha Unko Jannat naseeb Kre ]
I like your web site please inter me as a member.
king of gazal khumar
very nice indeed!
Khumar sahibs,
“vo savaa yaad aaye bhulaane ke baad”
vo savaa yaad aaye bhulaane ke baad
zindagii ba.Dh ga_ii zahar khaane ke baad
dil sulagataa rahaa aashiyaane ke baad
aag Tha.nDii hu_ii ik zamaane ke baad
raushanii ke liye ghar jalaanaa pa.Daa
kaisii zulmat ba.Dhii tere jaane ke baad
jab na kuchh ban pa.Daa arz-e-Gam kaa javaab
vo Khafaa ho gaye muskuraane ke baad
dushmano.n se pashemaaa.N honaa pa.Daa hai
dosto.n kaa Khuluus aazamaane ke baad
baKhsh de yaa rab ahal-e-havas ko bahisht
mujh ko kyaa chaahiye tum ko paane ke baad
kaise kaise gile yaad aaye ‘Khumar’
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
Wow never thought I could find Khumar sahib on the web. Thanks for posting it. Proud to be from Barabanki…
bhai waah, mazaa aa gayaa video dekh kar aur Khumar sahib ki ghazal sun kar. Mohib bhai, bahut shukriya… ek ek sh’er par muNh se daad hi nikali, aur inka andaaz to bhai vaah!! bahut khoob. ek chhoTi si baat, aap transliteration par bahut zor dete haiN, ek pal meiN ek sadi k bajaaye aap yuuN edit kar dijiye, “ik pal meiN ik sadii”
shukriya,
Amit Malhotra
Bahut umda shayari hai Khumar sahab ka. Main bhi Barabanki ka hoon. Unko dekh ke bahut achcha laga. Ek sher aap sab ko najra hain..nacheej ki taraf se
“Kya kahoon maine tujhe kitni baar yaad kiya,
Koi kaise bhala apni saanson ka hisaab rakhe.”
“Phoolon ne kaha kaliyon ne suna, mahfil saari diwani hai,
Dekh ke pawan roop tera, mandir jana bemani hain.”
“Khoobsurat chaand tumse kya hoga, Aaina bhi tumpe hi fida hoga,
Gar yakin na ho to bagban se pooch, husn tera gulaab se jyada jawa hoga..”
Salaam..
khumar sahib aap ka jawab aap to la jawab hai . meine aaj itni achi shayeri nahin suni aap ka bahut bahut shukriyaaaa
quite goood 1..
Aakhiri sher me Qabl-e-ajal hona chaahiye, na ki Qabl-e-azal.
un ke jaisa koi nahi hain
Khumar Saheb ki shayri maujuda daur ki tang nazri se bala aur zaban-e Urdu ke liye baiise fakhar hai.
Yaqeenan unki pahunch sunne walon ke dil ki gahraiiyon tak hai.
Adaab
I wish that Khumar saheb could have written one more sher before maqta as : Ta’hshar Jaam-e-Lutf-O-Nishaat Aap peejiye
Sau baar neeisti ka maza hum se puuchye