maiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (10 votes, average: 4.1 out of 5)
Loading ... Loading ...
2,199 Views

Click above to listen this Ghazal in Waseem Barelvi’s own voice.

maiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa
ab iske baad meraa imtihaan kyaa legaa

ye ek melaa hai, vaadaa kisii se kyaa legaa
dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa

maiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa
ko’ii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa

kalejaa chaahiye dushman se dushmanii ke liye
jo be-amal vo badlaa kisii se kyaa legaa

hazaar toR ke aa jaauuN us se rishtaa “Waseem”
maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa

Waseem Barelvi

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • zaKhm-e-ummiid bhar gayaa kab kaa
  • ham saadaa hii aise the, kii yuuN hii paziiraa’ii
  • mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de
  • ghaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN
  • shaam ko subh-e-chaman yaad aaii
  • 8 Responses to “maiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa”

    1. Great. Whatever litterateurs may say about Waseem Barelvi, he is undoubtedly a poet in his own right. And hearing him in his voice is a treat.

    2. Wonderful!!

    3. aakhri do sheron ka kya kehna…

      maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa

      Wah…

    4. Wah Wah Wah! Kasam se tabiyat khush kar di Waseem sahab. Behatareen likhten hain aap.

    5. i wish someone would post more of waseem sahab’s ghazals

    6. Great Waseem Sahab. somebody can teel me how can i listen more Waseem Sahab Ghazals .

    7. sarmad nishaat on May 18th, 2008 at 12:40 pm

      subhanallah,bahut khoob Waseem saheb.aapko sunta hoon to rooh kaan hoti hai.

    8. gr8, i really feel so attached to this, briallant…..

    Leave a Reply