mile haiN ehtiyaatan un se ham be-gaanaavaar aksar
adaa karnaa paRaa hai ye bhii farz-e-naa-gavaar aksar
khataayeN karte karte taubaa kar lii hai “Khumar” aksar
taRap kar rah gayii hai rahmat-e-parvardigaar aksar
vo yuN aaye haiN mere saamne be-ikhtiyaar aksar
mujhe karnaa paRaa hai aap apnaa intizaar aksar
baRii muskil se dil maayuus hotaa hai muhabbat meN
kiyaa hai maiN ne ek paimaaN-shikan kaa aitbaar aksar
jo kaanTe ban ke khaTke haiN diloN meN ahl-e-gulshan ke
baRhaayaa hai unhiiN kaanToN ne gulshan ka viqaar aksar
zamaanaa ho gayaa tark-e-muhabbat ko magar ab tak
muhabbat kaam apnaa kar hii jaatii hai “Khumar” aksar
Khumar Barabankvi
{ 1 comment… read it below or add one }
“baRii muskil se dil maayuus hotaa hai muhabbat meN
kiyaa hai maiN ne ek paimaaN-shikan kaa aitbaar aksar”