andaaz huu-ba-huu terii aavaaz-e-paa kaa thaa

4 comments

andaaz huu-ba-huu terii aavaaz-e-paa kaa thaa
dekhaa nikal ke ghar se to jhauNkaa havaa kaa thaa

is husn-e-ittefaaq pe luT kar bhii shaad huN
terii razaa jo thii, vo taqaazaa vafaa kaa thaa

dil raakh ho chukaa to chamak aur baRh ga’ii
ye terii yaad thii ke amal kiimiyaa kaa thaa

is rishtaa-e-latiif ke asraar kyaa khuleN
tu saamne thaa aur tassavvur Khudaa kaa thaa

chhup chhup ke rouuN aur sar-e-anjuman haNsuuN
mujh ko ye mashvaraa mere dard-aashnaa kaa thaa

uThThaa ajab tazaad se insaan kaa Khamiir
aadii fanaa kaa thaa to pujaarii baqaa kaa thaa

TuuTaa to kitne aaiinaa-KhaanoN pe zad paRii
aTkaa huaa gale meN jo paththar sadaa kaa thaa

hairaan huN ke daar se kaise bachaa “Nadeem”
vo shakhs to Ghariib-o-Ghayuur intihaa kaa thaa

Ahmed Nadeem Qasmi

{ 3 comments… read them below or add one }

farrukh March 1, 2006 at 7:40 am

fine

B.G.M. March 2, 2006 at 6:36 am

“uTThaa ajab tazaad se insaan kaa Khamiir
aadii fanaa kaa thaa to pujaarii baqaa kaa thaa”

aadii = habituated (used to)

bahot khuub!

Syed Gazanfar Abbas January 2, 2007 at 5:28 am

Very nice

chhup chhup ke rouuN aur sar-e-anjuman haNsuuN
mujh ko ye mashvaraa mere dard-aashnaa kaa thaa

is se numanya ek or sher yaad aaya

din mein hamko dekhne walon,apne apne hain aukhaat
jao na tum in khushk aankhon pe,hum raaton mein ro le hain

Leave a Comment

{ 1 trackback }

Previous post:

Next post: