duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai

4 comments

duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai

(harf : alphabet; aah : sigh; manzar : scene)

tere badalne ke baa-vajuud tujhko chaahaa hai
ye ai’tiraaf bhii shaamil mere gunaah meN hai

(baa-vajuud : even though; ai’tiraaf : acceptance; shaamil : included)

azaab degaa tou phir mujhko Khwaab bhii degaa
maiN mutma’iin huN, meraa dil terii panaah meN hai

(azaab : punishment; mutma’iin : satisfied; panaah : shelter)

jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye
vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai

(makiiN : house-holder)

yahii vo din the jab ek duusre ko paaya thaa
hamaarii saalgiraah thiik ab ke maah meN hai

(maah : month)

maiN bach bhii jaauuN tou tanhaa’ii maar daalegii
mere qabiilaa ka har fard, qatl-gaah meN hai

(tanhaa’ii : loneliness; qabliilaa : tribe; qatl-gaah : gallows)

Parveen Shakir

{ 4 comments… read them below or add one }

B.G.M. March 19, 2006 at 4:31 pm

“maiN bach bhi jaauuN tou tanhaa’ii maar Daalegii
mere qabiile kaa har fard, qatl-gaah meN hai”

———————————————

Waa…h! Kitnaa hassaas she`r hai!

Adil March 19, 2006 at 9:28 pm

That is great. Parveen Shakir ke shayere mujhay hamesha mutaasir kerte hay.
jis khobsoorte say parvee shakir nay judayee ka khayal paish kia hay, mein nay kahin aur nahi dekha.

Dr.R.N.SHRIVASTAV March 21, 2006 at 8:21 pm

`jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye
vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai`
It is a execellent sher.Ghalib Saheb says
`har makaaN ko hai makiiN se shraf asad
majoo chala gaya to jungle udas hai`

NACHEEZ LEHRI November 24, 2007 at 6:16 am

GREAT…
Perveen Shakir is from one of the poet who are died in early of their lifes………..

Leave a Comment

Previous post:

Next post: