4,377 views
jo bhii dukh yaad na tha yaad aayaa
aaj kyaa jaaniye kyaa yaad aayaa
phir ko’ii haath hai dil par jaise
phir teraa ahd-e-vafaa yaad aayaa
(ahd-e-vafaa : promise)
jis tarah dhuNdh meN lipTe hu’e phuul
ek ek naqsh teraa yaad aayaa
(dhuNdh : fog; naqsh : markings, prints)
aisii majboorii ke aalam meN ko’ii
yaad aayaa bhi to kyaa yaad aayaa
(aalam : condition)
ai rafiiq sar-e-manzil jaakar
kyaa ko’ii aablaapaa yaad aayaa
(rafiiq : well-wisher; sar-e-manzil : near destination; aablaapaa : blisters in feet)
yaad aayaa thaa bichaRnaa teraa
phir nahiiN yaad ke kyaa yaad aayaa
jab ko’ii zakhm banaa daaGh banaa
jab ko’ii bhuul gayaa yaad aayaa
(daaGh : stain, scar)
ye muhabbat bhii hai kyaa rog “Faraz”
jis ko bhuule vo sadaa yaad aayaa
Ahmed Faraz


(6 votes, average: 3.83 out of 5)
{ 4 comments… read them below or add one }
Wah wah Ahmed sahab bahut khub isme kuch hamari halat bayan hai…
Aise hi likhte rahe..
Innshahallah, suna tha aapke baare mein, aaj yeh sher padhkar yakeen hue. Wake hi aap ne iss nacheez ke bheege hue palkoon ko, aur bhiga diya. Khuda aapko salamaat rakhe aur ham jaison ko is zindegi se riha karde.
excellent poetry
i like ghulam ali songs… and i heard ur poetry thru him.. excellent song…