dil-e-naadaaN tujhe hu’aa kyaa hai
2,234 Viewsdil-e-naadaaN tujhe hu’aa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai
(naadaaN : one without wisdom; davaa : remedy)
ham haiN mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ! ye maajraa kyaa hai
(mushtaaq : interested; bezaar : sick of; maajraa : happening)
ham bhii muuNh meN zabaan rakhate huuN
kaash puuchho ke mudda’a kyaa hai
(muuNh : mouth; zabaan : tongue; mudda’a : issue)
jab ki tujh bin nahiiN ko’ii maujuud
phir ye hangaamaa ai Khudaa kyaa hai
(maujuud : present; hangaamaa : chaos)
ye parii-cheharaa log kaise haiN
Ghamzaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai
(parii-chehraa : fairy faces; Ghamzaa : amourous glance; ishvaa : ? ; adaa : elegance)
shikan-e-zulf-e-ambarii kyoN hai
nigah-e-chashm-e-suurmaa saa kyaa hai
(shikan : wrinkle; zulf : tresses; ambarii : fragrance; nigah : glance; chasm-e-suurmaa : kohl eyes)
sabzaa-o-gul kahaaN se aaye haiN
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
(sabzaa-o-gul : greenery and flowers; abr : a cloud; havaa : wind)
hamko unse vafaa kii hai ummiid
jo nahiiN jaante vafaa kyaa hai
(vafaa : fidelity; ummiid : hope)
haaN bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai
(bhalaa : good; darvesh : mendicant; sadaa : voice)
jaan tum par nisaar kartaa huuN
maiN nahiiN jaantaa du’aa kyaa hai
(jaan : life; nisaar : sacrifice; du’aa : prayer)
ham ne maanaa ke kuchh nahiiN “Ghalib”
muft haath aaye to buraa kyaa hai
(muft : free; haath aanaa: to get something; buraa : bad)
Mirza Ghalib
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(5 votes, average: 4.2 out of 5)






I am not entirely sure but I think its
Aakhir is “marz” ki dava kya hai..instead of “dard”
AOA,
Ain’t pity that we have only one ghazal from Ghalib here?
Ham sukhan fehm hein, ghalib k tarafdaar nahein :p
no chandni that dard only
ut i appreciate u that u gave so much intention towards ghazals
By the way mirza galib is my all time favourite if ne 1 want more ghazals and shayri of mirza galib plzzz contact me
tuffy492004@yahoo.co.in
rekhta ke tum hi ustaad nahiN ho “GHalib”
kahte haiN agle zamane meN koi Meer bhi thA
Plz add more Ghazals of Mirza Ghalib.