tanhaa’ii kii galii meN havaaoN kaa shor thaa

0 comments

tanhaa’ii kii galii meN havaaoN kaa shor thaa
aaNkhoN meN so rahaa thaa andheraa thakaa hu’aa

(tanhaa’ii : loneliness; galii : lane; thakaa : tired)

barsoN se chal rahaa hai ko’ii mere saath saath
hai kaun kaash us se maiN ek baar puuchtaa

dil meN utar ke bujh gayii yaadoN kii chaaNdnii
aaNkhoN meN intizaar kaa suuraj pighal gayaa

choRhii hai un kii chaah to ab lag rahaa hai yuuN
jaise maiN itne roz andheroN meN qaid thaa

(roz : days; qaid : confinement, bondage)

maiN ne zaraa sii baat kahii thii mazaaq meN
tumne zaraa sii baat ko itnaa baRhaa liyaa

kamre meN phailtaa rahaa cigarette kaa dhuuaaN
maiN band khiRkiyoN kii taraf dekhtaa rahaa

“Aazer” ye kis kii simt baRhe jaa rahe haiN log
is shah’r meN to mere sivaa ko’ii bhii na thaa

(simt : towards)

Kafeel Aazer

Leave a Comment

Previous post:

Next post: