yuuN zindagii kii raah mein takraa gayaa ko’ii
1,500 ViewsyuuN zindagii kii raah mein takraa gayaa ko’ii
ek roshnii andheroN meN bikhraa gayaa ko’ii
(roshnii : light; bikhraa : spread)
vo haadisaa vo pahlii mulaaqat kyaa kahuuN
kitnii ajab thii suurat-e-haal kyaa kahuuN
vo qah’r, vo Ghazab, vo jafaa mujh ko yaad hai
vo uskii be-ruKhii ki adaa mujh ko yaad hai
miTtaa nahiiN hai zeh’n pe yuuN chhaa gayaa ko’ii
(haadisaa : accident; ajab : unique; suurat-e-haal : circumstances; qah’r : power, vehemence; Ghazab : passion, anger; jafaa : cruelty; be-ruKhii : rudeness; adaa : charm, elegance; miTnaa : erased; zeh’n : soul)
pehle mujhe vo dekh ke barham si ho gayii
phir apne hi hasiiN khayaaloN meN kho gayii
bechaargii pe meri use rah’m aa gayaa
shaayed mere taRapne kaa andaaz bhaa gayaa
saansoN se bhii qariib mere, aa gayaa ko’ii
(barham : restless; hasiiN : beautiful; bechaargii : wretchedness; rah’m : mercy)
ab us dil-e-tabaah ki haalat na puuchhiye
be-naam aarzuu ki wo lazzat na puuchhiye
ek ajnabii thaa, ruuh kaa armaan ban gayaa
ek haadisaa thaa, pyaar kaa unvaan ban gayaa
manzil kaa raastaa mujhe dikhlaa gayaa ko’ii
(dil-e-tabaah : ruined heart; haalat : condition; be-naam : nameless; aarzuu : desire; lazzat : pleasure; armaan : desire; unvaan : topic, subject)
I am not sure about the poet of this nazm. It looks like Qateel Shifai, somebody please confirm.
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(5 votes, average: 4.6 out of 5)






Waa..h!, bahot hi khuub Nazm pesh kii hai, M`amuulii si tarmiim dekh liijiye(sirf Romanization ke liye)
(please correct as follows)
pehle mujhe vo dekh ke barham si ho gayii
phir apne hi hasiiN khayaaloN meN kho gayii
bechaargii pe meri use rah’m aa gayaa
shaayed mere taRapne kaa andaaz bhaa gayaa
saansoN se bhii qariib mere, aa gayaa ko’ii
ab us dil-e-tabaah ki haalat na puuchhiye
be-naam aarzuu ki wo lazzat na puuchhiye
ek ajnabii thaa, ruuh kaa armaan ban gayaa
ek haadisaa thaa, pyaar kaa unvaan ban gayaa
manzil kaa raastaa mujhe dikhlaa gayaa ko’ii
Mehdi Hassan Sahab ..my favourite of all time.
He is the Greatest Ghazal Singer of all time. He is simply the BEST.
THE BEST THERE IS
THE BEST THERE WAS
AND
THE BEST THERE EVER WILL BE.