aik saayaa meraa masiihaa thaa !
977 Viewsaik saayaa meraa masiihaa thaa !
kaun jaane, vo kaun tha, kyaa thaa ?
(saayaa : shadows; masiihaa : messiah)
vo faqat sehn tak hii aatii thii
maiN bhii hujre se kam nikaltaa thaa
(faqat : only; sehn : verandah; hujraa : chamber)
tujh ko bhuulaa nahiiN vo shaKhs ke jo
terii baaNhoN meN bhii akelaa thaa
(shaKhs : person; baaNheN : arms)
jaan-levaa thiiN KhvaahisheN varnaa
vasl se intizaar achchaa thaa
(KhvaahisheN : desires; vasl : meeting)
baat to dil-shikan hai par, yaaro !
aql sachchii thii, ishq jhuuTa thaa !
(dil-shikan : heart breaking; aql : brain; ishq : love)
apne mayyaar tak na pahuNchaa maiN
mujhko Khud par baRaa bharosaa thaa
(mayyaar : benchmark; bharosaa : reliance)
jism ki saaf-go’ii ke baa-vasf
ruuh ne kitnaa jhuuT bolaa thaa !
(jism : body; saaf-go’ii : straight talk; baa-vasf : with qualities; ruuh : soul)
Jaun Elia
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.


(4 votes, average: 3.25 out of 5)





