dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (4 votes, average: 3 out of 5)
Loading ... Loading ...
948 Views

dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
aql hairaaN hai, kyaa kiya jaaye

(pariishaaN : distressed; aql : mind; hairaaN : perplexed)

shauq-e-mushkil-pasand, unkaa husuul
saKht aasaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(shauq : desire; mushkil-pasand : fond of difficulties; husuul : attainment; saKht aasaaN : too easy)

ishq-e-KhuubaaN ke saath hii ham meN
naaz-e-KhuubaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(ishq-e-KhuubaaN : love of the beautiful people; naaz-e-KhuubaaN : pride of the beautiful people)

be-sabab hii merii tabii’at-e-Gham
sab se naalaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(be-sabab : without reason; tabii’at : nature; naalaaN : complaining)

baa-vajuud unkii dil-navaazii ke
dil gurezaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(baa-vajuud : despite of; dil-navaazii : blandishments; gurezaaN : fleeing)

maiN to naqd-e-hayaat laayaa thaa
jins arzaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(naqd : cash; hayaat : life; jins : merchandise, species; arzaaN : cheap)

ham samajhte the ishq ko dushvaar
ye bhii aasaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(dushvaar : difficult; aasaaN : easy)

vo bahaaroN kii naaz-parvardah
ham pe naazaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(bahaaroN : of spring; naaz-parvardah : delicately brought up, a spoilt child; naazaaN : sporting)

misr-e-lutf-o-karam (??) meN bhii ai “Jaun”
yaad-e-kin’aaN hai (??), kyaa kiyaa jaaye !

(misr-e-lutf-o-karam : is it Misr here or misra? ; yaad-e-kin’aaN : ??)

Jaun Elia

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • kyaa kiyaa jaaye yahii Allah ko manzuur hai
  • sabr har baar iKhtiyaar kiyaa
  • diidaa-e-hairaaN ne tamaashaa kiyaa
  • dil giraftaa hii sahii bazm sajaa lii jaaye
  • ai jazbaa-e-dil gar maiN chaahuuN, har chiiz muqaabil aa jaaye
  • Leave a Reply