ghaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (1 votes, average: 5 out of 5)
Loading ... Loading ...
1,012 Views

ghaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN
maiN ek gehraa samandar ban gayaa huuN

terii yaadoN ke angaaroN ko aksar
tasavvur ke laboN ko chuumtaa huuN

(tasavvur : imagination)

ko’ii pehchaan-ne vaalaa nahiiN hai
bhare baazaar meN tanhaa khaRaa huuN

meraa qad kitnaa uuNchaa ho gayaa hai
falak kii vus’atoN ko naaptaa huuN

(qad : stature; falak : heaven; vus’at : expansion; naaptaa : measure)

vo yuuN mujhko bhulaanaa chaahte haiN
ke jaise maiN bhii ko’ii haadisaa huuN

(haadisaa : event)

badalte mausamoN kii diary se
tere baare meN aksar puuchtaa huuN

kisii kii yaad ke pattoN ko “Aazer”
havaaoN se bachaa kar rakh rahaa huuN

(patte : leaves)

Kafeel Aazer

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • patthar meN Dhal rahaa huuN
  • badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
  • Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN
  • kuuchaa-e-yaar ‘ain Kaasii hai
  • baa-vafaa’ii kii adaa paane lagaa huuN tujh meN
  • One Response to “ghaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN”

    1. simply fantastic

    Leave a Reply


    allofmp3.com mp3 download