naaz-e-be-gaangii meN kyaa kuch thaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (2 votes, average: 5 out of 5)
Loading ... Loading ...
1,026 Views

naaz-e-be-gaangii meN kyaa kuch thaa
husn kii saadgii meN kyaa kuch thaa

(naaz : playfulness, blandishment; be-gaangii : not dependent upon; husn : beauty)

laakh raaheN thiiN, laakh jalve the
ahd-e-aavaargii meN kyaa kuch thaa

(jalve : miracles; ahd-e-aavaargii : time of wandering around)

aaNkh khulte hii chhup gayii har shai
aalam-e-beKhudii meN kyaa kuch thaa

(shai : a thing, an object; aalam-e-be-Khudii : state of unconsciousness about this world)

yaad haiN marhale muhabbat ke
haaye ! us be-kalii meN kyaa kuch thaa

(marhale : problems; be-kalii : state of restlessness)

kitne biite dinoN kii yaad aayii
aaj terii kamii meN kyaa kuch thaa

kitne maanuus log yaad aaye
subh kii chaaNdnii meN kyaa kuch thaa

(maanuus : known, acquainted)

raat bhar ham na so sake “Nasir”
parda-e-Khaamshii meN kyaa kuch thaa

(parda-e-Khamshii : veil of silence)

Nasir Kazmi

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • Khvaab thaa yaa Khayaal thaa, kyaa thaa?
  • dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
  • haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
  • dil lagaane kii kisii vo sazaa paayii ke bas
  • aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
  • One Response to “naaz-e-be-gaangii meN kyaa kuch thaa”

    1. Nikal hee aati haikoi na koi gunjayish Faraz.
      Kisi ka piyar kabhi aakhri nahe hotha.

    Leave a Reply


    allofmp3.com mp3 download