diidaa-e-hairaaN ne tamaashaa kiyaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (3 votes, average: 4.67 out of 5)
Loading ... Loading ...
814 Views

diidaa-e-hairaaN ne tamaashaa kiyaa
der talak vo mujhe dekhaa kiyaa

(diidaa-e-hairaaN : bewildered eyes; tamaashaa : scene)

aaNkh na lagne se sab ehbaab ne
aaNkh ke lag jaane kaa charchaa kiyaa

(ehbaab : friends; charchaa : talked about)

un se pariivash ko na dekhe ko’ii
mujh ko merii sharm ne rusvaa kiyaa

(pariivash : fairy like; sharm : shame; rusvaa : disgraced)

zindagii hijr bhii, ek maut bhii
marg ne kyaa kaar-e-masiihaa kiyaa

(hijr : separation; marg : death; kaar-e-masiihaa : good deeds)

jor kaa shikvaa na karuuN zulm hai
raaz meraa sabr ne afshaa kiyaa

(jor : injustice; shikvaa : complaint; raaz : secret; sabr : patience; afshaa : obvious)

rah’m-e-falak aur mere haal par
tuune karam ai sitam-aaraa kiyaa

(rah’m-e-falak  :  mercy of the heavens; sitam-aaraa : one who inflicts pain)

Momin Khan Momin

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
  • sabr har baar iKhtiyaar kiyaa
  • aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
  • Somnath
  • hijr kii raat Dhale na Dhale
  • One Response to “diidaa-e-hairaaN ne tamaashaa kiyaa”

    1. Dr.Pasha th: KING" Ahmer Rabbani on June 30th, 2006 at 3:05 pm

      simply outstanding!!!

    Leave a Reply


    allofmp3.com mp3 download