dil meN duniyaa kaa tamashaa dekhaa

0 comments

dil meN duniyaa kaa tamashaa dekhaa
mojazin kuuze meN dariyaa dekhaa

(tamashaa : spectacle; mojazin : ??; kuuzaa : pitcher; dariyaa : river)

qaasid itnaa hii to kah de mujh se
Khat ko paRhvaa ke sunaayaa dekhaa

(qaasid : messenger; paRhvaa ke : to get read by someone)

arz kii maiN ne idhar to dekho
kahaa muNh pher ke dekhaa dekhaa

(arz : request)

aah maiN kal vo yakaayak jo milaa
merii jaanib ko na islaa dekhaa

(aah : alas; yakaayak : spontaneously; jaanib : towards; islaa : consolation)

jis ne dekhaa dahn-e-jaanaaN ko
“Baaqi” anqaa ko hai goyaa dekhaa

(dahn-e-jaanaaN : mouth of the beloved; anqaa : mythical rare bird)

Girdhari Prasad Baqi

Leave a Comment

Previous post:

Next post: