hamaare shauq kii ye intehaa thii

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (11 votes, average: 3.91 out of 5)
Loading ... Loading ...
2,266 Views

Click here to listen to Javed Akhtar reciting this Ghazal:

Download www.aligarians.com/audio/hamaare shauq kii ye intehaa - Javed Akhtar.rbs

hamaare shauq kii ye intehaa thii
qadam rakhaa ke manzil raastaa thii

(shauq : desire; intehaa : apex; qadam : step; manzil : destination; raastaa : way)

bichaR ke Daar se ban-ban phiraa vo
hiran ko apnii kastuurii sazaa thii

(Daar : abode; ban : forest; hiran : deer; kastuurii : musk-deer)

kabhii jo Khvaab thaa vo paa liyaa hai
magar jo kho gayii vo chiiz kyaa thii

maiN bachpan meN khilaune toRtaa thaa
mere anjaam kii vo ibtidaa thii

(anjaam : end; ibtidaa : beginning)

muhabbat mar gayii mujhko bhii Gham hai
mere acche dinoN kii aashnaa thii

(aashnaa : friend)

jise maiN chhuu luuN vo ho jaaye sonaa
tujhe dekhaa to jaanaa bad-du’aa thii

mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
magar duniyaa baRii kaRvii davaa thii

(mariiz-e-Khvaab : victim of dreams; shafaa : cure; kaRvii : bitter)

Javed Akhtar

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • daaman-e-shauq meN masle hu’e phuuloN kii tarah
  • ham jo tariik raahoN meN maare gaye
  • haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
  • havaa-e-shauq ke rangiiN dayaar jalne lage
  • apnaa afsaanaa-e-shauq naa-kaam
  • 4 Responses to “hamaare shauq kii ye intehaa thii”

    1. Subhan Allha Kya kaha hai javed sahab ne

      mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
      magar duniyaa baRii kaRvii davaa thii
      Shahi mano me duniya ek kadvii davaa hai wahi jana hai ise jis ne ise chakha hai

    2. Behzad Parvez on June 21st, 2006 at 3:32 am

      Very good ghazal Javed sahab.
      Shortness and unstability of life is well defined
      MeiN bachpan meN khilaune toRta tha
      mere anjam ki vo ibtid’a thi
      And of course life is a bitter pill; khoob kaha hai
      ……magar dunya baRi kaRvi davaa thi

    3. this is probably Javed sb’s best ever… amazingly beautiful

    4. hamaare shauq kii ye intehaa thii
      qadam rakhaa ke manzil raastaa thii

      Kya baat hai. I hv no word to praise.

    Leave a Reply