kis qayaamat kii ghaTaa chhaayii hai

0 comments

kis qayaamat kii ghaTaa chhaayii hai
dil kii har choT ubhar aayii hai

(ghaTaa : overcast clouds)

dard badnaam, tamannaa rusvaa
ishq rusvaa’ii hii rusvaa’ii hai

(tamannaa : desire; rusvaa : infamous)

us ne phir yaad kiyaa hai shaayad
dil dhaRakne kii sadaa aayii hai

zulf-o-ruKhsaar kaa manzar taubaa
shaam aur sub’h kii yakjaa’ii hai

(zulf-o-ruKhsaar : tresses and face; manzar : view; yakjaa’ii : togetherness)

ham se chhup chhup ke sanvarne vaale
chashm-e-aa’iinaa tamaashaa’ii hai

(chashm-e-aa’iinaa : eyes of the mirror)

dil tamannaa se hai kitnaa bezaar
thokareN khaa ke samajh aayii hai

(bezaar : displeased)

tum se “Mahir” ko nahiiN ko’ii gilaa
us ne qismat hii burii paayii hai

(gilaa : complain) 

Mahirul Qadri 

Leave a Comment

Previous post:

Next post: