nanhii pujaaran
1,029 Viewsek nanhii munnii sii pujaaran
patlii baaheN, patlii gardan
(gardan : neck)
bhor bhaye mandir aayii hai
aayii nahiiN hai, maaN laayii hai
(bhor : dawn)
vaqt se pahle jaag uThThii hai
niiNd bhii aaNkhoN meN bharii hai
ThoRii tak laT aayii hu’ii hai
yuuNhii (?) sii lahraa’ii hu’ii hai
(laT : tresses)
aaNkhoN meN taaroN kii chamak hai
mukhRe pe chaaNdii kii jhalak hai
kaisii sundar hai, kyaa kahiye
nanhii sii ek Siitaa kahiye
(Siitaa : wife of Lord Ram)
dhuup chaRhe taaraa chamkaa hai
patthar par ek phuul khilaa hai
chaaNd kaa TukRaa phuul kii Daalii
kamsin siidhii bholii-bhaalii
(kamsin : young)
kaan meN chaaNdii kii baalii hai
haath meN piital kii Thaalii hai
(chaaNdii : silver; piital : brass)
dil meN lekin dhyaan nahiiN hai
puujaa kaa kuch gyaan nahiiN hai
(gyaan : knowledge)
kaisii bholii aur siidhii hai
mandir kii chhat dekh rahii hai
maaN baRh kar chuTkii letii hai
chupke chupke haNs detii hai
haNsnaa ronaa uskaa mazhab
us ko puujaa se kyaa matlab
(mazhab : faith)
Khud to aayii hai mandir meN
man uskaa hai guRiyaa-ghar meN
(guRiyaa-ghar : house of dolls)
Majaz Lucknawi (1936)
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(5 votes, average: 4.2 out of 5)






kali hi khud muskaai huee hai,
purbai kahaan ye aayi huee hai,
nanhen haathon me diyaa jalaa kar
pooojaa me mehak see chaai huee hai.
ek nanhi pujaaran aayi huee hai………aayi huee hai.
renu ahuja.