ye dil ye paagal dil meraa, kyuN bujh gayaa aavaargii
2,012 ViewsOne of the best Ghazals of Mohsin Naqvi transformed into a master-piece by Ghulam Ali. Three different versions are available at the Radio of 7:38, 10:50 and 12:31 minutes duration. Enjoy !
ye dil ye paagal dil meraa, kyuN bujh gayaa aavaargii
is dasht meN ek shahr thaa, vo kyaa hu’aa aavargii
(aavaargii : vagrancy; dasht : wilderness)
kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chauNkaa diyaa
maiN ne kahaa tuu kaun hai, us ne kahaa aavargii
(be-shakl : abstract, without face)
ek tuu ke sadiyoN se mere ham-raah bhii ham-raaz bhii
ek maiN ke tere naam se naa-aashnaa aavargii
(ham-raah : companion on road; ham-raaz : confidant; naa-aashnaa : unacquainted)
ye dard kii tanhaa’iiyaaN, ye dasht kaa viiraaN safar
ham log to uktaa gaye apnii sunaa, aavargii
(tanhaa’ii : loneliness; viiraaN : uninhabited)
ek ajnabii jhoNke ne jab puuchhaa mere Gham kaa sabab
sehraa kii bhiiigii ret par maiN ne likhaa aavargii
(ajnabii : stranger; sabab : cause; sehraa : wilderness; ret : sand)
logoN bhalaa us shah’r meN kaise jiyeNge ham jahaaN
ho jurm tanhaa sochnaa, lekin sazaa aavaargii
(tanhaa : alone; sazaa : punishment)
le ab to dasht-e-shab kii saariii vus’ateN sone lagiiN
ab jaagnaa hogaa hameN kab tak bataa aavargii
(dasht-e-shab : wilderness of the night; vus’ateN : vastness)
kal raat tanhaa chaaNd ko dekhaa thaa maiN ne Khvaab meN
“Mohsin” mujhe raas aayegii shaayad sadaa aavargii
(raas aanaa : to like; sadaa : always)
Mohsin Naqvi
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.


(7 votes, average: 3.57 out of 5)





