ishq bekaar, muhabbat barbaad
840 Viewsishq bekaar, muhabbat barbaad
shoalaa-e-dil kii haraarat barbaad
(shoalaa-e-dil : fire of heart; haraarat)
maiN use bhuul na paayaa ab tak
saal-haa saal kii mehnat barbaad
ko’ii suntaa hii nahiiN qissaa-e-dard
harf barbaad, hikaayat barbaad
(qissaa-e-dard : tale of woes; harf : letters; hikaayat : narratives)
vo hai naaraaz abhii tak mujh se
minnateN zaa’yaa, samaajat barbaad
(zaa’yaa : wasted; samaajat : entreaties)
us pe khultaa hii nahiiN haal meraa
saarii tashriih-o-vazaahat barbaad
(tashriih-o-vazaahat : explanation and arguments)
kaun barbaad karegaa mujh ko
maiN huuN Khud apnii ba-daulat barbaad
ab bhii haiN uskii galii ke phere
baarish, sang-e-malaamat barbaad
(sang-e-malaamat : stones of taunts)
ab bhii aabaad haiN yaadeN uskii
ehtimaam-e-Gham-o-furqat barbaad
(ehtimaam : diligence, supervision)
be-talab us ne talab kii puurii
ho gayii saarii ibaadat barbaad
maut ko bhii tuu parakh kar dekh
ziist barbaad, nihaayat barbaad
haasil-e-jazb-e-vafaadaarii “Naim”
zaa’yaa, bekaar, akaarat, barbaad
(haasil-e-jazb-e-vafaadaarii : result of fidelity; akaarat : useless)
Naim Bazidpuri
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(2 votes, average: 4 out of 5)






Wo jaa rahaa he shab-e-gham guzar ke