Khush-jamaaloN kii yaad aatii hai
749 ViewsKhush-jamaaloN kii yaad aatii hai
be-misaaloN kii yaad aatii hai
(jamaal : elegance; be-misaal : peerless)
baais-e-rashk-e-mah’r-o-maah the jo
un hilaaloN kii yaad aatii hai
(baais-e-rashk : cause of envy; maah : moon; hilaal : new moon)
jin se duniyaa-e-dil munavvar thii
un ujaaloN kii yaad aatii hai
(munavvar : luminous)
jin kii aaNkhoN meN thaa suruur-e-Ghazal
un GhazaaloN kii yaad aatii hai
(suruur : intoxication; Ghazaal : Gazelle)
saadgii laa-javaab hai jinkii
un savaaloN kii yaad aatii hai
zikr sunte haiN nau-javaanii kaa
kuch KhayaaloN kii yaad aatii hai
jaane vaale kabhii nahiiN aate
jaane vaaloN kii yaad aatii hai
“Wajd” lutf-e-suKhan mubaarak ho
baa-kamaaloN kii yaad aatii hai
(lutf-e-suKhan : elegant poetry; baa-kamaal : those capable of excellence)
Sikandar Ali Wajd
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.









Eik aur achchhaa intekhaab!
——————————-
jaane vaale kabhii nahiiN aate
jaane vaale kii yaad aatii hai
should be,
jaane vaale kabhii nahiiN aate
jaane vaaloN ki yaad aatii hai
———————————-
Good ghazal. It always surprises me how Sikandar Ali Wajd who was once considered in the leaguge of the top Progressive poets has been nearly forgotten.
@ B.G.M. saahab
Thanks a lot, as always.
@ Adnan bhai
Yes, true. Welcome back.