na galiiyaaN haiN, na ghar, kuch bhii nahiiN hai
sitaaroN se udhar kuch bhii nahiiN hai
thakan kahtii hai aa ghar laut jaayeN
musaafir ye safar kuch bhii nahiiN hai
parinde to azal ke be-vafaa haiN
KhizaaN meN shaaKh par kuch bhii nahiiN hai
(azal : since the beginning; KhizaaN : autumn; shaaKh : branch)
meraa bhaa’ii se rishtaa KhuuN kaa hai
ta’aluq hai magar kuch bhii nahiiN hai
(ta’aluq : relation)
ye almaarii to hai vaisii kii vaisii
kitaaboN kaa asar kuch bhii nahiiN hai
(almaarii : almirah)
abhii duniyaa hai merii naa-mukammal
falak yaa baal-o-par kuch bhii nahiiN hai
(naa-mukammal : incomplete; falak : heavens; baal-o-par : capability to fly)
Iftikhar Naseem