vaqt har ek hisaar se baahar
711 Viewsvaqt har ek hisaar se baahar
dafn hai ye mazaar se bahaar
(hisaar : encompassing; dafn : buried; mazaar : grave)
aa kabhii tuu bhii aa ke mujh se mil
sa’at-e-intizaar se bahaar
(sa’at-e-intizaar : time of waiting)
har naye aane vaale ne mujh ko
kar diyaa hai qataar se bahaar
(qataar : line, queue)
saarii duniyaa badal chukii hogii
jab bhii nikloge Ghaar se bahaar
maiN akelaa bhatak rahaa huuN “Naseem”
apnii kuuNjoN kii Daar se baahar
(kuuNj : orchards; Daar : branch)
Iftikhar Naseem
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.







