apne andar Gham chhupaa ke dekh lo

1 comment

apne andar Gham chhupaa ke dekh lo
Khud ko yuuN bhii aazmaa ke dekh lo

duur ho jaayegii din bhar ki thakan
merii jaanib muskuraa ke dekh lo

phir ubhar aayeNge yaadoN ke nuquush
jis tarah chaaho miTaa ke dekh lo

(nuquush : prints)

bhuul jaayeNge tumhiiN sab aaiine
merii aaNkhoN meN samaa ke dekh lo

roshnii baaqii rahegii yaad kii
tum chiraaGhoN ko bujhaa ke dekh lo

zaaiqaa kaisaa hai ye izhaar kaa
apne hoNToN par sajaa ke dekh lo

(zaaiqaa : taste)

“harf” meN hai jis tarah nuqtaa “Raza”
yuuN mujhe apnaa banaa ke dekh lo

(harf : words)

Raza Abbas Raza

{ 1 comment… read it below or add one }

junaid ali March 10, 2010 at 9:29 am

sath rota tha mere sath hansa karta tha.
wohi ek tha jo mere dil me basa karta tha.

meri chahat ka talabgar tha is tarah,
ke woh musallay pay namazon me dua karta tha.

ek lamhay ka bicharna bhi gawara nahi tha usay.
rotay rotay wo mujh se yehi kaha karta tha.

rog jo dil ko laga betha tha anjaanay me,
meri aaghosh me marnay ki dua karta tha.

baat kismat ki thi door ho gaye hum,
warna woh to mujhe kismat kaha karta tha.junaid jaan

Leave a Comment

Previous post:

Next post: