kitnaa poshiidaa havaaoN kaa safar rakhaa gayaa
1,144 Viewskitnaa poshiidaa havaaoN kaa safar rakhaa gayaa
aane vaale mausamoN se be-Khabar rakhaa gayaa
(poshiidaa : hidden)
aaj bhii phirtaa huuN uskii justujuu meN har taraf
kaun sii bastii meN aaKhir meraa ghar rakhaa gayaa
chand mubham Khvaab aaNkhoN meN liye phirtaa huuN
aur kyaa mere liye zaad(?) safar rakhaa gayaa
(mubham : difficult; zaad : ?)
dostoN meN kuch merii pehchaan to baaqii rahe
is liye mujh meN ajab ajab hunar rakhaa gayaa
is hathelii par chamaktii ret ke zarre haiN ab
jis hathelii par kabhii ganj-guhar rakhaa gayaa
(ganj-guhar : ?)
meraa apnaa Khauf hii kyaa kam thaa lekin ai “Rafiq”
merii apnii zaat meN kis kis kaa Dar rakhaa gayaa
Rafiquzzaman
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.








Zaad - provision; Ganj - treasure; Guhar - ?, Gauhar - gems