1,797 views
phuul kyuuN ye sochegaa KhushbuuoN kaa kyaa hogaa
tum ko is se kyaa matlab diljaloN kaa kyaa hogaa
un ke baare kyaa socheN daar jinkii manzil hai
Ghaur is pe karnaa hai buz-diloN kaa kyaa hogaa
(daar : gallows)
jin ko dekhiye saahab hai havas bulandii kii
ko’ii to zaraa soche pastiiyoN kaa kyaa hogaa
(havas : lust; bulandii : apex, top; pastii : nadir)
tum badalte rahte ho roz ek nayaa chehraa
kuch Khabar bhii hai pyaare aainoN kaa kyaa hogaa
tum ko zid hai dariyaa ko ret meN badalne kii
naa-KhudaaoN batlaao kashtiyoN kaa kyaa hogaa
(naa-Khudaa : commander of the ship)
aap kam se kam “Sajid” fan kii aarzuu rakhiye
sher sab kaheNge to shairoN kaa kyaa hogaa
(fan : skill)
Suroor Sajid

