raat jaagaa huuN to sochaa kyaa hai
ab merii soch meN rakhaa kyaa hai
safar-e-ishq meN sarmaaya-e-jaaN
dil Dharakne ke ilaavaa kyaa hai
(safar-e-ishq : journey of love; sarmaaya-e-jaaN : basis of life; ilaavaa : except for)
is muhabbat ke taqaaze kyaa haiN
ye hameshaa kaa bicchaRnaa kyaa hai
(taqaaze : duties)
vo jo kartaa hai vafaa ke vaade
abhii us shaKhs ne dekhaa kyaa hai
“Qais” ye soch rahaa huuN kab se
mere ghar meN meraa apnaa kyaa hai
Saeed Qais
{ 4 comments… read them below or add one }
“vo jo kartaa hai vafaa ke vaade
abhii us shaKhs ne dekhaa kyaa hai”. Waah!
Thanks for posting some gems from somewhat lesser known poets that many of us are not that familiar with…
Thanks for noticing it Siyaah saahab. Glad you like the recent Ghazals.
Kia baat hai, bahut khoob !!!!
raat jaagaa huuN to sochaa kyaa hai
ab merii soch meN rakhaa kyaa hai
vo jo kartaa hai vafaa ke vaade
abhii us shaKhs ne dekhaa kyaa hai
, wah kya keh diyaaaaaaaaa