ruup ne phuul khilaayaa hogaa
948 Viewsruup ne phuul khilaayaa hogaa
pyaar ne giit sunaayaa hogaa
apne aap se baRh kar kis ne
apne aap ko chaahaa hogaa
beshak uskaa naam fazaa pe
Khushbuu ban ke likhaa hogaa
jis ne baRh kar vaar kiyaa hai
vo meraa hamsaayaa hogaa
maiN to aik “Khayaal” huuN us ne
kyuuN kar mujhe bhulaayaa hogaa
Ameen Khayaal
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.








jis ne baRh kar vaar kiyaa
vo meraa hamnavaa hogaa
she`r agar yuuN hotaa?
“jis ne baRh kar vaar kiyaa thaa
vo meraa hamsaayaa hogaa”
jii, maine sher meN tarmiim kar dii hai, vo dar-asl kuch yuuN hai:
jis ne baRh kar vaar kiyaa
vo meraa hamnavaa hogaa
aapkaa bahut shukriyaa ke varnaa ye GhaltiyaaN to yuuNhii rah jaatiiN.
Mohib