us ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye
1,221 Viewsus ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye
bikne ko saare log hii tayyaar ho gaye
us ne kahaa ke aik vafaadaar chaahiye
saare jahaaN ke log vafaadaar ho gaye
(vafaadaar : loyal, faithful)
us ne kahaa ke ko’ii gunah-gaar hai yahaaN
jo paarsaa the vo bhii gunah-gaar ho gaye
us ne kahaa ke aajiz-o-miskiiN hai ko’ii
sab log gard-e-kuucha-o-baazaar ho gaye
(aajiz-o-miskiiN : troubled and destitute; gard-e-kuucha-o-baazaar : dust of the houses and market places)
us ne kahaa ke kaash ko’ii jangjuu mile
aapas meN yaar barsar-e-paikaar ho gaye
(jangjuu : fighter; barsar-e-paikaar : engaged in battle)
us ne kahaa “Adeem” meraa haath thaam-na
chaaroN taraf se haath namuudaar ho gaye
(namuudaar : apparent, manifested)
Adeem Hashmi
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.







