diidah ashkbaar hai apnaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
736 Views

diidah ashkbaar hai apnaa
aur dil-e-be-qaraar hai apnaa

(diidah : eyes; ashkbaar : tearful)

chashm-e-giryaaN se, chaak-e-daamaaN se
haal sab aashkaar hai apnaa

(chashm-e-giryaaN : lamenting eyes; chaak-e-daamaaN : torn clothes; aashkaar : obvious)

haa-o-huu meN har ek khoyaa hai
kaun yaaN Gham-gusaar hai apnaa

(haa-o-huu : ?; Gham-gusaar : sympathize)

sirf ek vo haiN sab ke muKhtaar
un pe kyaa iKhtiyaar hai apnaa

(muKhtaar : chosen; iKhtiyaar : will)

bazm se un ke jab se niklaa hai
dil Gharib-ud-dayaar hai apnaa

(Gharib-ud-dayaar : home of destitutes)

hai yahii rasm-e-maikadaa shaayad
nashaa un kaa, Khumaar hai apnaa

kyaa Ghalat sochte haiN “Miraji”
sher kahnaa sha’ar hai apnaa

(sha’ar : ?)

Miraji

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • apnaa shah’r
  • mile haiN ehtiyaatan un se ham be-gaanaavaar aksar
  • ham abhii aur bhii kuch roz pariishaaN hoNge
  • usne sukuut-e-shab meN bhii apnaa payaam rakh diyaa
  • apnaa afsaanaa-e-shauq naa-kaam
  • Leave a Reply


    allofmp3.com mp3 download