sitam ko’ii nayaa iijaad karnaa
571 Viewssitam ko’ii nayaa iijaad karnaa
tuu mujh ko bhii merii jaaN! yaad karnaa
(iijaad : invent)
qayaamat hai dil-e-naalaaN qayaamat
teraa rah rah ke ye faryaad karnaa
(dil-e-naalaaN : lamenting heart; faryaad : compaint)
chalo ab lutf hii ko aazmaao
tumheN aataa nahiiN bedaar karnaa
(bedaar : restless)
mare ko maarnaa hai o sitamgar!
shahiid-e-naaz par bedaar (?) karnaa
(shahiid-e-naaz : ?)
asiir-e-zulf hai “Mehroom” un kaa
jinheN aataa nahiiN aazaad karnaa
(asiir-e-zulf : prisoner of tresses)
Tilok Chand Mahroom
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.







