shab kii bedaariyaaN nahiiN achchii
itnii mai-KhvaariyaaN nahiiN achchii
(bedaariyaaN : vigilance; mai-KhvaariyaaN : wine drinking)
vo kahiiN kibriyaa na ban jaaye
naaz bardaariyaaN nahiiN achchii
(kibriyaa : magnificent)
haddiyaaN gaalne ke gur siikho
sahel angRaaiyaaN nahiiN achchii
kuch ravaadaariyoN kii mashq bhii kar
sirf adaakaariyaaN nahiiN achchii
(ravaadaariyoN : acceptability)
haath se kho na baithnaa us ko
itnii KhuddaariyaaN nahiiN achchii
(KhuddaariyaaN : self respect)
ai Ghafuurur-rahiim, sach farmaa
kyaa KhataakaariyaaN nahiiN achchii
(Ghafuurur-rahiim : kind and benign)
Abdul Hameed Adam
{ 1 comment… read it below or add one }
“kuch ravaadaariyoN kii mashq bhii kar
sirf adaakaariyaaN nahiiN achchii”
Wah kia baat hai iski…………..
“Mohsin ghareeb log bhi thinko ka dair hain.
Mulbay main doob gaye kabhi tho paani main beh gaye”