ham jahaaN haiN vahaaN in dinoN ishq kaa silsilaa muKhtalif hai
1,013 Viewsham jahaaN haiN vahaaN in dinoN ishq kaa silsilaa muKhtalif hai
kaarobaar-e-junuuN aam to hai magar ek zaraa muKhtalif hai
(muKhtalif : different; kaarobaar : trade; junuuN : frenzy)
aaj kii raat nanhii sii lau bhii agar bach rahe to Ghaniimat hai
ai chiraaGh-e-sar-e-kuucha-e-baad! ab ke havaa muKhtalif hai
(sar-e-kuucha-e-baad : ?)
Khemaa-e-aafiyat ke tanaaboN se jakRii hu’ii Khalqat-e-shah’r
jaannaa chaahtii hai ke manzil se kyuuN raastaa muKhtalif hai
(Khemaa : tent; aafiyat : tranquility; tanaaboN : ?; Khalqat-e-shah’r : city dwellers)
ab ke maiN ne kitaab-e-masaavaat aik ek varq paRh ke dekhii
matan meN jaane kyaa kuch likhaa hai magar haashiyaa muKhtalif hai
(kitaab-e-masaavaat : book of equality; matan : original text; haashiyaa : margins)
Iftikhar Arif
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.









Wah