1,480 views
sehraa hii Ghaniimat hai jo ghar jaaoge logo
vo aalam-e-vahshat hai ke mar jaaoge logo
(aalam-e-vahshat : state of loneliness)
yaadoN ke ta’aqqub meN agar jaaoge logo
merii hii tarah tum bhii bikhar jaaoge logo
(ta’aqqub : to follow)
vo mauj-e-sabaa bhii ho to hoshiyaar hii rahnaa
suukhe hu’e patte ho, bikhar jaaoge logo
(sabaa : breeze)
is Khaak pe mausam to guzarte hii rahe haiN
mausam hii to ho, tum bhii guzar jaaoge logo
ujRe haiN ka’ii shah’r to ye shah’r basaa hai
ye shah’r bhii chhoRaa to kidhar jaaoge logo
haalaat ne shahroN pe bahut zulm kiye haiN
aaiinaa agar dekhaa to Dar jaaoge logo
us par na qadam rakhnaa ke ye raah-e-vafaa hai
“Sarshaar” nahiiN ho ke guzar jaaoge logo
(raah-e-vafaa : path of fidelity)
Sarshar Siddiqui


(2 votes, average: 3.50 out of 5)
{ 1 comment… read it below or add one }
1 hath ke tali nahihoti ya muhabat
jo hum ko na chahay usay chaha nahi kartay
hr gam pa mehboob ko sajda nahi kartay
hm chatay hain logoon ko pooja nahi kartay
khud jal k mana latay hain hr sham apni
mangi hoie shama pa guzara nahi kartay
js ghar say hoon vabasta taray nam ke yadain
us ghar k dr o bam ko manja nahi kartay
magroor bna day ga tu us shaks ko ay dil
is qudr toot k kisi to chaha nahi kartay
imran khadim
dam group