vo rulaa kar haNs na paayaa der tak
1,544 Viewsvo rulaa kar haNs na paayaa der tak
jab maiN ro kar muskuraayaa der tak
bhuulnaa chaahaa kabhii us ko agar
aur bhii vo yaad aayaa der tak
Khud ba Khud, be-saaKhtaa maiN haNs paRaa
usne is darjaa rulaayaa der tak
(Khud ba Khud : by oneself; be-saaKhtaa : spontaneously)
bhuukhe bachchoN kii tasallii ke liye
maaN ne phir paanii pakaayaa der tak
gun-gunaataa jaa rahaa thaa ik faqiir
dhuup rahtii hai naa saayaa der tak
kal andherii raat meN merii tarah
ek jugnuu jagmagaayaa der tak
Nawaz Deobandi
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(3 votes, average: 4.67 out of 5)






Simply superb,
I guess second sher need some rearrangement of words-
bhuulnaa chaahaa kabhii us ko agar
aur bhii vo yaad aayaa deir tak
Thanks,