le ke maazii ko jo haal aayaa to dil kaaNp gayaa
1,269 Viewsle ke maazii ko jo haal aayaa to dil kaaNp gayaa
jab kabhii unkaa Khayaal aayaa to dil kaaNp gayaa
aisaa toRaa thaa muhabbat meN kisii ne dil ko
jab kisii shiishe meN baal aayaa to dil kaaNp gayaa
sar-bulandii pe to maGhruur the ham bhii lekin
chaRhte suuraj pe zavaal aayaa to dil kaaNp gayaa
(sar-bulandii :high point; zavaal : decline)
bad-nazar uThne hii vaalii kisii kii jaanib
apnii beTii kaa Khayaal aayaa to dil kaaNp gayaa
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.








“bad-nazar uThne hi vaalii thii, kisii kii jaanib
apnii beTii kaa Khayaal aayaa to dil kaaNp gayaa”
Waa…h!
================================================