anjaam us ke haath hai aaGhaaz kar ke dekh
bhiige hu’e paroN se hii parvaaz kar ke dekh
(aaGhaaz : beginning; parvaaz : flight)
—-
sitam-aaraa’ii baRhtii jaa rahii hai
karam-farmaa’ii baRhtii jaa rahii hai
(sitam-aaraa’ii : sufferings; karam-farmaa’ii : favors)
kalaam-ullah jab se paRh rahaa huuN
merii biinaa’ii baRhtii jaa rahii hai
(kalaam-ullah : words of Allah i.e. The Quran; biinaa’ii : eye-sight)
—-
mazluum kii aahoN kii nishaane nahiiN baiThe
zaalim ke abhii hosh Thikaane nahiiN baiThe
go vaqt ne aise bhii mavaaqe hameN baKhshe
ham phir bhii buzurgoN ke sarhaane nahiiN baiThe
(mavaaqe : oppotunities; sarhaane : near)
—-
ye baar-e-falaq hamne zamiiN pe nahiiN rakhaa
thak kar kisii kaaNdhe pe kabhii sar nahiiN rakhaa
(baar : burden; falaq : heaven)
kyuuN thokareN lagtii haiN jab hamne kabhii bhii
raste meN kisii ke ko’ii patthar nahiiN rakhaa
taariikh se vaaqif se haiN jo beTe kaa naam
rakhaa hai Ali naam Sikander nahiiN rakhaa
(vaaqif : familiar)
Nawaz Deobandi
{ 7 comments… read them below or add one }
Kam az kam shair wazan mein tho likha karon yaaron !!!!!
Shairi ki website aur shair wazan mein nahin !
1st a fall i would like to say thanx to ashaar why bcoz from
past three years im in search this type of ghazal shayary thanz again
udaas raaton mien tez coffee ki talkhiyon mien,
wo kuch ziyada hi yaad ata hai sardiyon mien,
mujhey ijazat nahin hai us ko pukaarney ki,
jo goonjta hai lahu mien,seeney ki dharkanon mien,
wo bachpan jo udaas rahon mien kho gaya tha,
mien dhondta hun usey tumhari sharartoun mien,
usey dilasey to dey raha hun magar ye such hai,
kahien koi khauf barh raha hai tasalliyon mien,
tum apni pouron sey janey kia likh gaye thay jana,
charagh roshan hain ab bhi meri hatheliyon mien,
jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakiengien,
teri yehi ehmiyat hai meri kahaniyon mien,
mujhey yaqeen hai wo thaam ley ga, bharam rakhey ga,
ye maan hai to diye jalaye hain andhiyon mien,
har ik mausam mien roshni si bekhairtey hain,
tumharey ghum key charagh meri udasiyon mien….
thanks for sharing jazakAllah.
Kya bat hai bahoot atchey atchey ashar hai yeh to
its very nice to see nawaz saheb’s shayari on u tube specially that HINDUSTAN KO KITNA CHOTA HINDUSTAN BANAOGE!
maine nawaz devbandi sahab ko kafi pada he.bahut kanta;kanta likhte he.ek bar aapko Mathura bulakar sunne ki hasrat he.