maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (3 votes, average: 5 out of 5)
Loading ... Loading ...
1,470 Views

maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye
na jhukaao tum nigaaheN kahiiN raat Dhal na jaaye

(samaaN : ambience)

abhii raat kuch hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii
tiraa rind girte girte, kahiiN phir saNbhal na jaaye

(naqaab : veil; rind : person who is inebriated)

mirii zindagii ke maalik, mire dil pe haath raKhna
tire aane kii khushii meiN miraa dam nikal na jaaye

mire ashk bhii haiN is meN ye sharaab ubal na jaaye
miraa jaam chhuune vaale tiraa haath jal na jaaye

maiN banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiiN saath aashiyaaN ke ye chaman bhii jal na jaaye

(nasheman : home; shaaKh-e-gulsitaaN : a branch in the garden; aashiyaaN : home; chaman: garden)

mujhe phuuNkne se pehle, miraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat, mire saath jal na jaaye

(amaanat : something give in trust)

Anwar Mirzapuri

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • ghaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN
  • fikr-e-taameer-e-aashiaN bhi hai
  • dil giraftaa hii sahii bazm sajaa lii jaaye
  • patthar meN Dhal rahaa huuN
  • badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
  • 2 Responses to “maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye”

    1. Kaii din se dekh rahi huun ye ghazal badal hi jaaye,

    2. fabulas.. bahut hi khubsura ghazal hai

    Leave a Reply