maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye
1,869 ViewsmaiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye
na jhukaao tum nigaaheN kahiiN raat Dhal na jaaye
(samaaN : ambience)
abhii raat kuch hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii
tiraa rind girte girte, kahiiN phir saNbhal na jaaye
(naqaab : veil; rind : person who is inebriated)
mirii zindagii ke maalik, mire dil pe haath raKhna
tire aane kii khushii meiN miraa dam nikal na jaaye
mire ashk bhii haiN is meN ye sharaab ubal na jaaye
miraa jaam chhuune vaale tiraa haath jal na jaaye
maiN banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiiN saath aashiyaaN ke ye chaman bhii jal na jaaye
(nasheman : home; shaaKh-e-gulsitaaN : a branch in the garden; aashiyaaN : home; chaman: garden)
mujhe phuuNkne se pehle, miraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat, mire saath jal na jaaye
(amaanat : something give in trust)
Anwar Mirzapuri
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.








Kaii din se dekh rahi huun ye ghazal badal hi jaaye,
fabulas.. bahut hi khubsura ghazal hai