zaKhm-e-ummiid bhar gayaa kab kaa
Qais to apne ghar gayaa kab kaa
(zaKhm-e-ummiid : the wound of hope)
aap ik aur niind le liijiye
qaafilaa kuuch kar gayaa kab kaa
dukh ka lamhaa azal abad lamhaa
vaqt ke paar utar gayaa kab kaa
(azal : beginning of time; abad : end of time)
apna muuNh ab to mat dikhaoa mujhe
naasiho, maiN sudhar gayaa kab kaa
nasshaa hone kaa be-tarah thaa kabhi
par vo zaalim utar gayaa kab kaa
aap ab puuchney ko aaye haiN?
dil merii jaan, mar gayaa kab kaa
Jaun Elia
{ 2 comments… read them below or add one }
Nice ,Short and simple verses !!
Wah wah
What a good choice from Jaun’s poetry..thanks for posting this