ab to shahroN se Khabar aatii hai diivaanoN kii
ko’ii pehchaan hii baaqii nahiiN viiraanoN kii
subh hote hii nikal aate haiN baazaar men log
gaThriyaaN sar pe uthaaye hu’e iimaanoN kii
apnii poshaak se hoshiyaar ke Khuddaam-e-qadiim
dhajjiyaaN maaNgte haiN apne gariibaanoN kii
(Khuddaam : attendant; qadiim : old)
san’ateN phailtii jaatii haiN magar iske saath
sarhadeN tuuTtii jaatii haiN gulistaanoN kii
unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
bahes karte rahe saahil pe jo tuufaanoN kii
maqbare bante haiN zindoN ke makaanoN se baland
kis qadar auj pe takriim hai insaanoN kii
(maqbare : tombs)
terii rahmat to musallam hai magar ye to bataa
kaun bijlii ko Khabar detaa hai kaashaanoN kii
(kaashaane : shelters)
abhii takmiil ko pahunchaa nahiiN zehnoN kaa gudaaz
abhii duniyaa ko zaruurat hai Ghazal-KhvaanoN kii
(takmiil : fulfillment; gudaaz : development; Ghazal-KhvaanoN : Ghazal reciters)
Ahmed Nadeem Qasmi
{ 5 comments… read them below or add one }
maqbare bante haiN zindoN ke makaanoN se baland
kis qadar auj pe takriim hai insaanoN kii
Nice..!!
is traqiyafta zamane me jhan english ki aamejish ki wajah se zaban me bigad paida ho raha hai, wahi itni khubsurat aur slees zaban ka mujahira qabil-e-staesh hai.
Qasam Khana mujhay nahin ataa kasam khaye nahin main nay khadim hon tera bhara ha zehr bohat bayan kay liye nadeem log kehtay hain sharab na piya kar zakhm zakhm hon khuda par eman rakhta hon tor di main nay ishq ki adat nadeem bekaar ha log kiyey jattay hain.
Hosh ka qalam sabhala main nay dar e jana ko pukara main nay gali kochon se la gudaz na kar mai piyey ja bayan na kar ashqi ishq ki manzil nahin nadan rahi challa chal saman kiyey ja.
socha tha tujay toot k chayn gay bout hum
chaha b bout jana or tootay b bout hum
Its very good