dil lagaane kii kisii vo sazaa paayii ke bas

0 comments

dil lagaane kii kisii se vo sazaa paayii ke bas
aisii aisii ishq meN is dil meN ban aayii ke bas

kyaa Khabar Kaabaa thaa but-Khaanaa thaa yaa kuu-e-dost
chalte chalte daf’atan mujhko niiNd aayii ke bas

ab to sab kahne lage diivaanaa-diivaanaa mujhe
aur hai manzuur tumko apnii rusvaa’ii ke bas

yuuN to muddat tak nahiiN aayaa kabhii unkaa Khayaal
aur jab aaye to unkii aisii yaad aayii ke bas

vo nigaah-e-naaz achaanak multafit(?) kyaa ho gayii
zindagii ne liyaa yakaayak aisii angRaa’ii ke bas

merii barbaadii par jab izhaar-e-Gham usne kiyaa
yuuN be-saaKhtaa aisii haNsii aayii ke bas

aur bhii haalaat naazuk ho gaye ab ishq meN
ai “Shamim” unkii vafaa kuch aisii raas aayii ke bas

Shamim Jaipuri

Leave a Comment

Previous post:

Next post: