Gham uThaane kaa qariinaa aa gayaa
1,080 ViewsGham uThaane kaa qariinaa aa gayaa
dostoN ke saath jiinaa aa gayaa
unke qadmoN tak rasaa’ii kii Khushii
jaise saahil tak safiinaa aa gayaa
(rasaa’ii : access; safiinaa : boat)
mere hoNToN par tabassum dekh kar
ek sitamgar ko pasiinaa aa gayaa
(tabassum : smile)
unkaa saahil pe kahiiN lagtaa hai jii
jinko tuufaanoN meN jiinaa aa gayaa
kis tarah hogii talaafii-e-sitam
kyaa unheN zaKhmoN kaa siinaa aa gayaa
(talaafii-e-sitam : reparation of cruelty)
taubaa bhii kar leNge vaaiz phi kabhii
ab to saavan kaa mahiinaa aa gayaa
unkaa daaman haath kyaa aayaa “Shamim”
saare aalam kaa Khaziinaa aa gayaa
Shamim Jaipuri
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.








