phuul saa kuch kalaam aur sahii
ek Ghazal us ke naam aur sahii
uskii zulfeN bahut ghanerii haiN
aik shab kaa qayaam aur sahii
(qayaam : stay)
zindagii ke udaas qisse haiN
aik laRkii kaa naam aur sahii
(qisse : tales)
karsiyoN (?) ko sunaaiye GhazaleN
qatl kii aik shaam aur sahii
kapkapaatii hai raat siine meN
zaher kaa aik jaam aur sahii
(jaam : glass)
Bashir Badr
{ 2 comments… read them below or add one }
Brilliant sir
I want types mushaira